Tuesday, September 11, 2012

Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh

 dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth hai


 aadha saccha sa.

Jazbaat ko dhake ek parda bas, Ek bahana hai 


accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai, Jo pass ho ke bhi 


pass nahi.


Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh 

dena koi khaas nahi.


Hawa ka ek suhana jhonka hai, Kabhi nazuk toh 

kabhi tufaano sa. 


Chehra dekh kar jo nazrein jhuka le, Kabhi apna 

toh kabhi begaano sa. 


Zindgi ka ek aisa humsafar, Jo samandar hai, 

par
 dil ko pyaas nahi.


Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh 





dena koi khaas nahi.


Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai, 





Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata 





hai.


Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahi, Par 




kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata 

hai.




Yuh rehta toh mere tassavur me hai, Par in 





aankho ko uski talaash nahi.


Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh 





dena koi khaas nahi!!!

No comments: