Tuesday, October 16, 2012

Na me paas usko bula saka

Na me Dil ki baat bata saka

Wo hansi hansi me hi chal diya


me hath tak na mila saka

U hi sochta raha door tak

Magar usko kuch na bata saka

Ye maqam hi tha ajeeb sa

K me khud ko b na bacha saka

Wo juda hua to kuch is tarah

Koi rasam tak na nibha saka

Usay jana tha wo chala gaya

Usay aaj tak na bhula saka

No comments: